Aaj bhi pura din mauj masti me chala gaya aur aaj bhi maine kooch nahiin kiya apne liye. Office me bhi aaj maine poore din blogspot me aur wordpress me bita diya. maine aaj apni profile bhi banaya wordpress me jo blogspot se bahut acha hai. Aaj ek iranian admi ki kooch likhei padhi jisme osne Aurat ke teen roop Maa,Behen,Patni ke liye kooch umda lavz likha tha padh ke acha laga… Osne maine apne comments bhi chode.Kitni ache khayalat the. Aaj Dutun se bhi chat hui bichara ladki patane me laga hua hai par abhi tak safalata nahin mili oso pareshan sa hai…sach main zindagi me samasyaoon ka anta nahiin hai na hi manushya ki umeed ki seema. Aaj kahin ek company se interview call bhi aya tha aur maine jaldi jaldi main ose haan kar diya aur wo interview bhi kal hai.Pata nahin kya hoga kaisi company hoga.kal baje ki interview hai aur kal subha hi oske liye prepare karna padega. Anyway kal dekhunga. Kal kisi ek anjaan nuber se raat ko do message bhi aye maine ulta poocah to koi jawab nahiin aya.pata nahiin kaun hai par jo bhi hai osse mujhse baat karna chahiye. Aaj bhi maine ose call kiya tha par phone pick nahiin hua.Aaj subha subha titu ke mummy papa jo ki pichle do mahino se humare yahaan ruke hue the chale gaye aaj ghar suna suna sa lagega aur wo apne aako khoya khoya payega.Onhen chodne ke liye ateeq utha tha subha par main nahiin uth paya.background main sunai diya tha mujhe par uthne ki himmat nahiinhui mujhse.Tabhi aaj Subha Ateeq ke haath ki chai naseeb hui warna wahi banjar si subha , biraan se din aur tanhayee bhari ratein hoti thi. Shayad kisi cheez ki mujhe kami hai kooch adhura sa hai mujhme. kahiin hoya sa rehta hoon. Office me bhi sab log yahi keh rahe hain par main sabko jhutha sabit karne main peech nahiin hat ta. Par main khus hoon aur april me ghar jane ke baad humesha ke liye khoos ho jaunga… aur kyon na hoon khoss kooch haq zindagi pe mera bhi hai shayad aur abhi to main zinda hoon.bhale zindagi mujjhse rooth gayee ho abhi maine haar nahiin mani. Baki kya farak padta hain chahe duniya kaise ho kaise nahin main to khoos hoon na wahi kafi hai… khus reh aye zindagi sada yun aur gayeja tarane khusiyoon ka yun hiRoz jo jalta hai maut zindagi ki safar me deja ek sada umeed ki yun hi….
Tuesday, June 17, 2008
30th jan 2008

Subscribe to:
Post Comments (Atom)
-
Customer Care Numbers Banks SBI Bank - 1800 11 2211 (toll-free), 1800 425 3800 (toll-free), 080-26599990 ICICI Ba...
-
यह चेन्नई मैं मेरी पहली शर्दी है ... हलाकि मैं पिछले साल भी यहीं था मगर मैं शायद इस जलवायु मैं ठीक से अपने आप को ढाल नहीं पाया था. आ...
-
After years I tried my hands in writing a letter in Odia and believe me it was difficult to write as the finger movement needed much to w...
No comments:
Post a Comment