Tuesday, June 17, 2008

28th Jan 08


aaj bhi din bhar wo online rahi …main bhi osse online hi dekhta raha.shayad isi umeed me wo bhi thi ke main ose ping karonga par main kya karta.Maine bhi osse ping nahiin kiya..kabhi main apne kooch likhe hue ek do ghazal ki do panktiyaan caption main likhta kabhi likhta ke ke mera photo chori ho gaya hai… jyadatar waqt to chup rehti aur raha na jaye to kabhi kisi gane ki do panktiyaan likhti…
aaj maine phir mr.Babna se baat karne ki koshish ki.par kisine bhi phone nahiin pick kiya…maine socha tha ki baat karunga aur ho sake to negotiate karun par nahiin kooch nahii hua…
lavzoon ki na kaho ki syahi kalam me hi kam hai…ki hai bagawat jo kabhi chehra chupaye phirte hain…..

No comments:

Post a Comment