Friday, June 19, 2009

Fariyad.

aaj humne bhi gamon ko chupana sikh liya,
bhari mahfil main muskrana sikh liya,
hum to darte the gamon ka jahar peene se
par ab to gamon ko jaam samajkr peena sikh liya,
pehle to akele se hote the bheed main
par ab to tanhai main bhi rehna sikh liya,
log muskra kar de jaate the dokha kabhi
par ab to humne aankhon ko padhna sikh liya,
koi sunta hi na tha hamare dil ki aawaz ko
to humne us aawaz ko sayari main badlna sikh liya,
Khud ko bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
par apna khayaal phir chaa gaya…
Ye dhadkan kahin ruk jaayae naa,
Meri nabz thehr naa jaaye kahin,
kismat ne Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gaya…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa waqt mujhe suna gaya…
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahatae thae ham,
Magar waqt roshni hi bujha gaya…
-Anonymous

No comments:

Post a Comment