Monday, July 07, 2008

Hijr Mausam me ye Barish ka Barasna kaisa...
Aik Sehra se Samander ka Guzerna kaisa ?

Aey mere Dill na Pareshan Ho, Tanha Ho ker...
Wo Tere Sath Chala Kab Tha, Bicharna Kaisa ?

Log Kihte Hein, Gulshan ki Tabahi Dekho...
Mein Toh Veeran Sa Jungle Tha, Ujarna kaisa ?

Dekhne Mein Toh Koi Dard Nahi, Dukh Bhi Nahi...
Phir Ye Ankhon Mein Yun Ashqon Ka Ubharna Kaisa ?

Bewafa kihne ki Jurrat Bhi na karna Usko...
Usne iqrar kiya kab Tha, Mukarna Kaisa ?

(this is not mine...)

No comments:

Post a Comment

Adab se..

वे एक समंदर खँगालने में लगे हुए हैं, हमारी कमियाँ ढूँढने में लगे हुए हैं। जिनकी अपनी लँगोटियाँ तक फटी हुई हैं, वे हमारी पगड़ी उछालने में लगे...